Thursday, June 3, 2021

Yaad


Bekaran Shab ke  Saile- Ravaan mein,

Khamoshi  ki Allahr Maujein,

Ahl-e-Qalam ke Bekal Dil Se

Chupke Chupke Mahv-e-Sukhan hain

 

Fikr  ke Gahre Siyah Bhavvar mein,

Yaadon ki ek Sarkash kashti

Beete Lamhon Ke Sahil Par

Dhoond rehi hai koi Basti

 

Ilm-o-Adab ki Dilkash Basti           

Jismein Khwab Buna Karte the

Jismein Sham Saja kart thi

Jismein Dost Reha karte the

 

Basti ki woh Raushan Raatein

Yaad hai Mujhko Sari Baatein

Jaaron ki woh Mahfil-e-Yaraan

Shab bhar jisme hoti Baatein

 

Aql-o-Khirad ki Gehri Baatein

Shahr-e-Tarab ki Pyari Baatein

Armanon ki, Khwab ki Baatein

Sayyad aur Iqbal ki Baatein

 

Yaaron ki is Bazm se Aaye

Kitne Mausam beet Chuke Hain

Jane, mere Dost kahan Hain

Talluq sare toot Chuke Hain

 

Jee, mein Aata hai ke Poochoon

Gar,  Mil Jayein Dost Purane

Basti Yaad Kabhi Aati Hai?

Jis mein the Sab Yaar Purane

 

Haal kahoon kya Shahr ka Apne

Sab kuch Badla Badla sa Hai

Milne wale Khoob hain lekin

Unmein Koi  Dost nahi Hai

 

 

Glossary:

 

Be-karaan                    Boundless              

Sail-e-Ravaaan           Flow/Flux

Ahl-e-Qalam               Writer/Author

Mahv-e-Sukhan          Engaged in Conversation

Siyah                           Black/Dark   

Bhanvar                      Whirlpool

Sarkash                       Rebellious/Obstinate

Sahil                            Sea Shore

Shab                            Night

Aql-o-Khirad              Reason and Rationality

Shahr-e-Tarab             City of Happiness (Basti in this context)

Sayyad                        Sir Syed Ahmad Khan

Iqbal                            Allama Iqbal

Bazm                           Gathering/Party

Mausam                      Season(Time Period in this context)

Shahr                           City (place where I live in this context)

Sunday, February 7, 2021

Inquilab

 

Jaur-o-Zulm Ki Shiddat

Khvah, Kitni Badh jaye

Aahni Salakhon se 

Raah Saari Ghir Jaye

 

Hausla Bikhar Jaye

Jism-o-Jaan Laraz Jaye

Haq -Shanas Hami bhi

Jabiron se Mil jaye

 

Munsifon ki Tehreerein

Harf Harf Bik Jayein

Adl ka Taraazu Bhi

Zor-o-Zar Se Jhuk Jaye

 

Shah ke Qaseedon ka

Sheikh Zamzama gaye

Ilm ka Mahafiz bhi

Raah se Bhatak Jaye

 

Doston ki Saazish se

Khet Sara Chin Jaye

Zaat ke Fasadon mein

Jism bhi Jhulus Jaye

 

Bebabasi ki Yeh Raatein

Khvah kitni  Lambi Ho

Raat ki Yeh Khamoshi

Khvah Kitni Gehri  Ho

 

Subh ki Azaan Hogi

Roshni Ayan Hogi

Shor Ek Uthega

Zindagi Jawan Hogi

 

Aamiron ki Barbariyat

Khak mein Fana Hogi

Fir.au.n ,Sar-Niguun Hoga

Tareekh Phir Raqam hogi

 

Inquilab Aayega

Ek Nayee Subah Hogi

Hai Yaqeen Mere Hamdam

Haq ki Phir Fatah Hogi

 

 

Glossary (In the Context of Above Poem):

Khvah                         Whether

Aahni                          Made of Iron

Salakhon                     Iron Bars

Haq-Shanas                 One who is acquainted with/aware of  truth

Hami                           One who is helping/Support

Jabiron                        Oppressors /Tyrant

Munsifon                    Judges

Tehrirein                     Writings /Verdicts (here)

Zor-Zar                       Muscle Power and Money Power

Zamzama gaye            Singing /Concert

Ayan                           Visible

Aamiron                      Oppressors /Tyrant    

Khak                           Earth /Soil

Fana                            Annihilation

Fir.au.n                        Pharaoh, a proud and arrogant person

Sar-Niguun                 Vanquished

Fatah                           Victory/Success

Monday, January 11, 2021

Jiyale Log

 

Mukhalfat ka Alam Uthaye

Kisan Sadkon pe Kheem-a-Zan hai

Bula rehi  hain Zameenen Wapas,

Raah,  Ghar Ki bhi Mutazar hai

 

Sard Mausam, Siyah Raatein

Josh Lekin Thama Nahi hai

Sitam ki Shab se Ulajhta Dahqan,

Jaur-o-Dukh se Dara Nahi hai

 

Nikal pada hai Badalne, Aaiin

Haakimon Par Yaqeen Nahin hai

Takhte-Shahi ko bhi Khabar hai

Kisan Yunhi, KHafa Nahi hai

 

Hukum Hai, Baazar-e-Nau Sajao

Gaahakon ki Kami Nahi hai

Qeematon pe Na Jee Jalao

Nafa ka Dariya, Ruka Nahi hai

 

Nizam -e- Nau ko Salam kar lo

Baghawaton mein Fatah Nahi hai

Badshahon se Bughz-o-Keena

O, Nadan Tujh mein Aql Nahi hai?

 

Khauf-o-Dhashat ke is Shahr mein

Sukoon-o-Sul’h ki Sada Nahi hai

Jiyale Logon, Salam Tumko

Azam ka Shola  Bujha nahi hai

 

Taweel hai yeh Jadal Zameen ki

Pasban ki Kami Nahi hai

Jiyale Logon, Salam Tumko

Misaal Iski Bahut Nahi Hai

 

 

Glossary (In the context of above poem):

Alam                             Flag

Kheem-a-Zan               In Camp

Mutazar                        Awaiting

Sitam ki Shab               Night of Oppression

Dahqan.                        Farmer

Jaur                              Violence /Oppression

Aaiin                           Constitution/Law

Bughz-o-Keena           Malice

Sukoon-o-Sul’h.          Tranquilty and Truce

Azam                           Strong Intention

Taweel                         Long

Jadal                            War

Pasban                         Guard /Keeper

 


Sunday, January 3, 2021

Ek Khwahish

Nayee khwahish ne Dastak di hai Dil mein

Kitab-e- Zeest likho, Khoon-e-Dil  se

Sawal-e-Shauq  to Mushkil hai Yaarab 

Qalam mein Zor paida ho, Kahan se 

 

Likhoon main kya, Kitab-e-Zindagi mein

Chunoon Kya kya, Hayat-e-Raftagan se

Main, Bachpan ki Gali se Dhoond laoon

Saja doon Lafz se Maasoom Qisse

 

Virasat ki bhi Baatein, Raqm hongi

Yeh, KHuu Tahzeeb ki aayee kahan se?

Urooj-e-Waqt mein logon ki Mehfil,

Zawal aaya to sab Ghayab, Sire se

 

Woh Ghar jismein Guzara hai Ladakpan

Use main Bhool jaaoon, Kis Tarah se

Woh Ustadon ki Shafqat,Woh Maktab ka Tarana

Kutub mein darj hoga Muhabbat ki Qalam se

 

Aligarh ka Zamana, Mujhe hai Yaad ab tak

Mere Khwabon ki Duniya bani hai is ke Dam se

Kitab-e-Zindagi ka, Yeh  Zarriin Baab hoga,

Ibaarat Naqsh hogi, Huroof-e-Qirmizi se

 

Woh Rishton mein Kashakash, ya Ulfat Aqraba se

Haqeeqat hi likhoon main, Dua hai meri  Rab se

Daroon-e-Dil ki Uljhan ya koi Raaz-e-Hamdam

Likhoon main har Waraq ko, Khuloos-e-Bebaha se

 

Khuda se yeh Dua hai, Mujhe  Zor-e-Qalam de

Mujhe Zauq-e-Sukhan de,Mujhe Lafzon ka Fun de

 

 

Glossary :

Zor-e-Qalam : Power to Pen

Kitab-e-Zeest : Book of Life ( Auto biography in this context)

Hayat-e-Raftagan :  Life goneby

Virasat : Heritage

Raqm : Document /Write

KHuu: Behaviour

Urooj-e-Waqt : The time when u r rising in life

Zawal : Fall

Shafqat : Affection

Maktab: School

Kutub: Book

Ibaarat : Passage of Book

Naqsh : Print /Write

Zrriin Baab -  Golden Chapter

Huroof-e-Qirmizi – Red Letter

Kashakash – Struggle/Contention

Ulfat – Love/Affection

Aqraba – Relatives

Daroon-e-Dil- Inner Heart

Khuloos-e-Bebaha – Lot of sincerity

Zauq-e-Sukhan-  capability of writing/expressing

 

 

Monday, December 21, 2020

Khalish

 

Kisi Patjhar ke Mausam mein

Kisi Sehmi hui Shab mein

kisi Anjaan Basti mein

Kisi Be-Zauq Mehfil mein

 

Khalish si Dil mein hoti hai

 

Kisi Dushnam Taane se

Kisi Dildoz Qisse se

Kisi Pursoz Naghme se

Kisi Nazr-e-Tanaffur se

 

Khalish si Dil mein hoti hai

 

Kisi Khwabe-e-Parishan se

Kisi Fikr-e-Fareeza se

Kabhi Raste ki Zahmat se

Kisi Thokar ki Shiddat se

 

Khalish si Dil mein hoti hai

 

Kisi ki Sard-Mehrii se 

Kisi ki Badgumani se

Kisi Dereena Rishte ki,

Marg-e-Nagahani se

 

Khalish si Dil mein hoti hai

 

Khalish kyon hai, Khafi kya hai

Kahein kya, Ibn-e-Aadam se

Gile,Shikwe, Malal-o-Marg

Haqeeqat hain Hamesha se

 

Yeh khwahish to nahi Mumkin

Safar mein sirf Gul Barse

Sada-e-Marhaba aaye,

Raah-e-Zindgani se

Thursday, December 17, 2020

Gar yeh Raaz Khul Jayein

 

Sochta hoon main Hardam, gar yeh Raaz khul jayein

 

Sirr-e-Zindagi kiya hai, Ramz kiya hai Hasti ka

Gum hoon in Khyalon mein,Anbane Sawalon mein

Khwab kaise bante hain, Kaise woh Bikhrate hain

Bekali hai kiyon Raqsan, Shauq-e- Janfashani mein

 

Taqdeer ka Fusoon kya hai, Tadbeer ki Haqeeqat kya

Bakht Be-badal kab hai, gar Yaqeen Iradon mein

Shikwa’e Nawishta bhi bewajah nahi shayad

Dhoondoon in Jawabon ko kaunsi Kitabon mein

 

khud ki inteha kya hai, Khudi* ka Marhala kya hai

Muqam-e-Maarifat  kya hai Khuda key Raazdanon mein

Suna hai Noor-e-Yazdan hai khudi ke Aabgeenon mein

Karoon kaise Magar Roshan Khudi ko apne Seene mein

 

Tilism-e-Aakhrat kya hai, Barzakh ka hai kya Alam

Khuda ke samne hoga, Sukhanwar Roz-e-Mehshar mein

Qayamat ka Saman  hoga, Yaqeen hai Faisla hoga

Magar kya Faisla hoga ,Yehi Khauf-e-Khuda dil mein

 

Faqr kya hai, Fana Kya hai, Adae-e- Rahibana Kya

Na Jane kiya Manazil hain Talash-e-Haq ke raste mein

Nayee Duniya, Naye Manzar,  Taqaze Aab-o-Gil ke bhi

Karein kaise  Dil-e-Nashad ko Razi Ibaadat mein

 

Sochta hoon main Hardam, gar yeh Raaz khul jayein

 

 

* Allama Iqbal's philosphy of Khudi







Monday, December 7, 2020

Ajab yeh saal hai hamadam

 


Ajab yeh saal hai hamadam,

Anokhe iske manzar hain,

  

Ummeedon ki yeh bikhri kirchiyan,

Yeh, khwab ke sookhe hue patte

Tazabzub ka, koi jhonka,

Yaqeen ke kaanpte tinkay

 

Dhake Chehron mein poshida,*

Khirad ki tah-ba-tah partein   

Ayan aankhen sunati hain,

Dilon ke sokhta qisse

 

Milana haath rasman bhi hai mushkil,**

Khulein kaise dilon ke, khardar raste

Quyood-o-band, ke is khel mein ab,

kahin simti hai duri,kahin bikhre hain rishte

 

Hakeem-e-Waqt ki annkhein hain giryan,

Farae’z se  magar kab haath thakte

Ameer-e-Waqt shayad,  bekhabar hai,

Sadayein so gayee hain, madad ki rah takte

 

Masajid dhoondti hain, Nemazi ab kahan hain

Shivaley bhi hain soone, Kaleesa bhi tadpate         

Na woh qadmon ki halchal Haram ke aastan pe

Sitam hai waqt ka sab, Aashiq kab hain rukte

 

Ajab yeh saal hai hamadam,

Anokhe iske manzar hain,

 

 

 

*     Masked faces

**   Handshake not allowed