Ajab yeh saal hai hamadam,
Anokhe iske manzar hain,
Ummeedon ki yeh bikhri kirchiyan,
Yeh, khwab ke sookhe hue patte
Tazabzub ka, koi jhonka,
Yaqeen ke kaanpte tinkay
Dhake Chehron mein poshida,*
Khirad ki tah-ba-tah partein
Ayan aankhen sunati hain,
Dilon ke sokhta qisse
Milana haath rasman bhi hai mushkil,**
Khulein kaise dilon ke, khardar raste
Quyood-o-band, ke is khel mein ab,
kahin simti hai duri,kahin bikhre hain rishte
Hakeem-e-Waqt ki annkhein hain giryan,
Farae’z se magar kab haath thakte
Ameer-e-Waqt shayad, bekhabar hai,
Sadayein so gayee hain, madad ki rah takte
Masajid dhoondti hain, Nemazi ab kahan hain
Shivaley bhi hain soone, Kaleesa bhi tadpate
Na woh qadmon ki halchal Haram ke aastan pe
Sitam hai waqt ka sab, Aashiq kab hain rukte
Ajab yeh saal hai hamadam,
Anokhe iske manzar hain,
* Masked faces
** Handshake not allowed
No comments:
Post a Comment