Thursday, December 17, 2020

Gar yeh Raaz Khul Jayein

 

Sochta hoon main Hardam, gar yeh Raaz khul jayein

 

Sirr-e-Zindagi kiya hai, Ramz kiya hai Hasti ka

Gum hoon in Khyalon mein,Anbane Sawalon mein

Khwab kaise bante hain, Kaise woh Bikhrate hain

Bekali hai kiyon Raqsan, Shauq-e- Janfashani mein

 

Taqdeer ka Fusoon kya hai, Tadbeer ki Haqeeqat kya

Bakht Be-badal kab hai, gar Yaqeen Iradon mein

Shikwa’e Nawishta bhi bewajah nahi shayad

Dhoondoon in Jawabon ko kaunsi Kitabon mein

 

khud ki inteha kya hai, Khudi* ka Marhala kya hai

Muqam-e-Maarifat  kya hai Khuda key Raazdanon mein

Suna hai Noor-e-Yazdan hai khudi ke Aabgeenon mein

Karoon kaise Magar Roshan Khudi ko apne Seene mein

 

Tilism-e-Aakhrat kya hai, Barzakh ka hai kya Alam

Khuda ke samne hoga, Sukhanwar Roz-e-Mehshar mein

Qayamat ka Saman  hoga, Yaqeen hai Faisla hoga

Magar kya Faisla hoga ,Yehi Khauf-e-Khuda dil mein

 

Faqr kya hai, Fana Kya hai, Adae-e- Rahibana Kya

Na Jane kiya Manazil hain Talash-e-Haq ke raste mein

Nayee Duniya, Naye Manzar,  Taqaze Aab-o-Gil ke bhi

Karein kaise  Dil-e-Nashad ko Razi Ibaadat mein

 

Sochta hoon main Hardam, gar yeh Raaz khul jayein

 

 

* Allama Iqbal's philosphy of Khudi







No comments:

Post a Comment