Tuesday, January 1, 2013

Woh Aakhri Shab

Sard raaton ki pur-shikoh khamoshi,
Ek hamdam ka khaal-o-khad le kar,
Apne daaman mein le ke raaz-e-hayaat,
Shab ke gumnam kharabe se nikal aayee hai

Uski maghmoom adh-khuli aankhein,
Aina hai guzashta barson ka,
Fikr-e-fardan se muzmahil chehre pe,
Hai ayaan karb roothe khwabon ka

Uske saakit labon per hui junbish,
Dik ke barabat se aayee ek nahif sada,
Har soo raushan hai saal-e-nau ke chiragh,
Rakh do tum bhi lab-e-baam ummidon ka diya

Yeh mah-o-saal ki gardish,yeh zameen ka raqs,
In rasoomat-e-jahan se ,gar hai shikayat mujhko,
Yeh  khamoshi to mere zeest ka ek hissa hai,
Us ki baaton ki hifazat bhi rawa hai mujhko

Aao kar lein naya azm, naye saal mein aaj,
Dil ki tareeki ko ummed-e-sehr se farozan kardein,
Aaaj ki raat khwabon ki har ek raah-e-guzar
Apne alfaz ke shamm’on se manuwwar kar dein