Sunday, January 12, 2014

Ahd-e-Nau


Gardishe Lail-o-Nehar, Saaton ka ek Ghubar,
Bhagte Qadmon ka Shor, InsaaN ka behta Aabshar
Khwab ko Paane ki Zid aur Zid ko Paane ka Khumar,
Waswase bhi kam nahin hain,Khwahishen bhi Beshumar

Yeh Nayee Duniya hai, iske Zaabte hain Mukhtalif
Rasm-e-Wafa hai Aarzi, BeqaDr hain Qaulo-o-Qarar
Dosti to Khair Mushkil Shughl hai is Daur mein
HaiN Hum-Nawa Masroof-e-Jaan,Maadoom hain Teemardar

Ahd-e-Nau mein Aaj Sharminda hai Haq-Goyee ki Reet
Jal rehi hai Bastiyan, Hurmatein Hain Taar Taar
Ahle-Fahem hain Dam-Ba-Khud,Be Dast-o-Paa Hain Passdar
Hain Tamshayee Sitam key Ham Asser-e-Karobaar

Kal, Sham ke ek Mod pe, Mujhko Mera Hamdam Mila
Meri kamgoyee lagi usko bhi Behad Naagawar
Kaise kahein Ai Hamnawa, Raftaar ke is Asr mein
Guftaar bhi Be-Lutf hai, Be-Rang hai Baad-e-Bahaar

Maana Gurezan Hai Ghadi,Hai Be-sabab Naala-Giri
Bazm-e-Jahan kab Daayemi, Kehta hai Dil yeh Baar Baar
Hai Pur-Asar Dil ka khyal, Mujh per bhi hai yeh Aashakar
Par Hasraton ke Daam se Aasan Nahi Rah-e-Farar