Jaur-o-Zulm Ki Shiddat
Khvah, Kitni Badh jaye
Aahni Salakhon se
Raah Saari Ghir Jaye
Hausla Bikhar Jaye
Jism-o-Jaan Laraz Jaye
Haq -Shanas Hami bhi
Jabiron se Mil jaye
Munsifon ki Tehreerein
Harf Harf Bik Jayein
Adl ka Taraazu Bhi
Zor-o-Zar Se Jhuk Jaye
Shah ke Qaseedon ka
Sheikh Zamzama gaye
Ilm ka Mahafiz bhi
Raah se Bhatak Jaye
Doston ki Saazish se
Khet Sara Chin Jaye
Zaat ke Fasadon mein
Jism bhi Jhulus Jaye
Bebabasi ki Yeh Raatein
Khvah kitni Lambi Ho
Raat ki Yeh Khamoshi
Khvah Kitni Gehri Ho
Subh ki Azaan Hogi
Roshni Ayan Hogi
Shor Ek Uthega
Zindagi Jawan Hogi
Aamiron ki Barbariyat
Khak mein Fana Hogi
Fir.au.n ,Sar-Niguun Hoga
Tareekh Phir Raqam hogi
Inquilab Aayega
Ek Nayee Subah Hogi
Hai Yaqeen Mere Hamdam
Haq ki Phir Fatah Hogi
Glossary (In the Context of Above Poem):
Khvah Whether
Aahni Made of Iron
Salakhon Iron Bars
Haq-Shanas One who is acquainted with/aware of truth
Hami One who is helping/Support
Jabiron Oppressors /Tyrant
Munsifon Judges
Tehrirein Writings /Verdicts (here)
Zor-Zar Muscle Power and Money Power
Zamzama gaye Singing /Concert
Ayan Visible
Aamiron Oppressors /Tyrant
Khak Earth /Soil
Fana Annihilation
Fir.au.n Pharaoh, a proud and arrogant person
Sar-Niguun Vanquished
Fatah Victory/Success
Fantastic poetry with the present situation
ReplyDelete