Nayee khwahish ne Dastak di hai Dil mein
Kitab-e- Zeest likho, Khoon-e-Dil se
Sawal-e-Shauq to Mushkil hai Yaarab
Qalam mein Zor paida ho, Kahan se
Likhoon main kya, Kitab-e-Zindagi mein
Chunoon Kya kya, Hayat-e-Raftagan se
Main, Bachpan ki Gali se Dhoond laoon
Saja doon Lafz se Maasoom Qisse
Virasat ki bhi Baatein, Raqm hongi
Yeh, KHuu Tahzeeb ki aayee kahan se?
Urooj-e-Waqt mein logon ki Mehfil,
Zawal aaya to sab Ghayab, Sire se
Woh Ghar jismein Guzara hai Ladakpan
Use main Bhool jaaoon, Kis Tarah se
Woh Ustadon ki Shafqat,Woh Maktab ka Tarana
Kutub mein darj hoga Muhabbat ki Qalam se
Aligarh ka Zamana, Mujhe hai Yaad ab tak
Mere Khwabon ki Duniya bani hai is ke Dam se
Kitab-e-Zindagi ka, Yeh Zarriin Baab hoga,
Ibaarat Naqsh hogi, Huroof-e-Qirmizi se
Woh Rishton mein Kashakash, ya Ulfat Aqraba se
Haqeeqat hi likhoon main, Dua hai meri Rab se
Daroon-e-Dil ki Uljhan ya koi Raaz-e-Hamdam
Likhoon main har Waraq ko, Khuloos-e-Bebaha se
Khuda se yeh Dua hai, Mujhe Zor-e-Qalam de
Mujhe Zauq-e-Sukhan de,Mujhe Lafzon ka Fun de
Glossary :
Zor-e-Qalam : Power to Pen
Kitab-e-Zeest : Book of Life ( Auto biography in this context)
Hayat-e-Raftagan : Life goneby
Virasat : Heritage
Raqm : Document /Write
KHuu: Behaviour
Urooj-e-Waqt : The time when u r rising in life
Zawal : Fall
Shafqat : Affection
Maktab: School
Kutub: Book
Ibaarat : Passage of Book
Naqsh : Print /Write
Zrriin Baab - Golden Chapter
Huroof-e-Qirmizi – Red Letter
Kashakash – Struggle/Contention
Ulfat – Love/Affection
Aqraba – Relatives
Daroon-e-Dil- Inner Heart
Khuloos-e-Bebaha – Lot of sincerity
Zauq-e-Sukhan- capability of writing/expressing
No comments:
Post a Comment