Kisi Patjhar ke Mausam mein
Kisi Sehmi hui Shab mein
kisi Anjaan Basti mein
Kisi Be-Zauq Mehfil mein
Khalish si Dil mein hoti hai
Kisi Dushnam Taane se
Kisi Dildoz Qisse se
Kisi Pursoz Naghme se
Kisi Nazr-e-Tanaffur se
Khalish si Dil mein hoti hai
Kisi Khwabe-e-Parishan se
Kisi Fikr-e-Fareeza se
Kabhi Raste ki Zahmat se
Kisi Thokar ki Shiddat se
Khalish si Dil mein hoti hai
Kisi ki Sard-Mehrii se
Kisi ki Badgumani se
Kisi Dereena Rishte ki,
Marg-e-Nagahani se
Khalish si Dil mein hoti hai
Khalish kyon hai, Khafi kya hai
Kahein kya, Ibn-e-Aadam se
Gile,Shikwe, Malal-o-Marg
Haqeeqat hain Hamesha se
Yeh khwahish to nahi Mumkin
Safar mein sirf Gul Barse
Sada-e-Marhaba aaye,
Raah-e-Zindgani se
No comments:
Post a Comment