Sunday, December 9, 2012

Khwabon ke Taaqub mein

Phir se Saaman-e-safar baandh liya hai maine
Apne Khwabon  ke Taaqub mein niklana hai mujhe
Zindagi  ke sehra mein,
Waqt ki garm reiton per,
Ek Sunahri manzil ki
Justaju liye dil mein,
Phir se Saaman-e-safar baandh liya hai maine
Waswason ke toofan mein,
Azm ka alam thame,
Yaqeen ki asa le kar,
Ireteqa ki hasrat mein,
Phir se Saaman-e-safar baandh liya hai maine
Paon aabla-pa hain,
Zehan bhi tazabzub ki,
Aandhiyon mein larzan hai
Sa-oobton se be- parvah
Phir se Saaman-e-safar baandh liya hai maine
Ahbaab se judai bhi,
Aashana fizaon se
Thodi bewafai bhi ,
Husool-e-shauq ki zid mein
Phir se Saaman-e-safar baandh liya hai maine
Taghayyurat ke mausam ki dastak,
Nayee umeed ki mauhoom aahat,
Nayee manzil se aati yeh sadaayein,
Qadam ko aakhirash rokoon main kab tak,
Phir se Saaman-e-safar baandh liya hai maine
Apne Khwabon  ke Taaqub mein niklana hai mujhe