Monday, January 11, 2021

Jiyale Log

 

Mukhalfat ka Alam Uthaye

Kisan Sadkon pe Kheem-a-Zan hai

Bula rehi  hain Zameenen Wapas,

Raah,  Ghar Ki bhi Mutazar hai

 

Sard Mausam, Siyah Raatein

Josh Lekin Thama Nahi hai

Sitam ki Shab se Ulajhta Dahqan,

Jaur-o-Dukh se Dara Nahi hai

 

Nikal pada hai Badalne, Aaiin

Haakimon Par Yaqeen Nahin hai

Takhte-Shahi ko bhi Khabar hai

Kisan Yunhi, KHafa Nahi hai

 

Hukum Hai, Baazar-e-Nau Sajao

Gaahakon ki Kami Nahi hai

Qeematon pe Na Jee Jalao

Nafa ka Dariya, Ruka Nahi hai

 

Nizam -e- Nau ko Salam kar lo

Baghawaton mein Fatah Nahi hai

Badshahon se Bughz-o-Keena

O, Nadan Tujh mein Aql Nahi hai?

 

Khauf-o-Dhashat ke is Shahr mein

Sukoon-o-Sul’h ki Sada Nahi hai

Jiyale Logon, Salam Tumko

Azam ka Shola  Bujha nahi hai

 

Taweel hai yeh Jadal Zameen ki

Pasban ki Kami Nahi hai

Jiyale Logon, Salam Tumko

Misaal Iski Bahut Nahi Hai

 

 

Glossary (In the context of above poem):

Alam                             Flag

Kheem-a-Zan               In Camp

Mutazar                        Awaiting

Sitam ki Shab               Night of Oppression

Dahqan.                        Farmer

Jaur                              Violence /Oppression

Aaiin                           Constitution/Law

Bughz-o-Keena           Malice

Sukoon-o-Sul’h.          Tranquilty and Truce

Azam                           Strong Intention

Taweel                         Long

Jadal                            War

Pasban                         Guard /Keeper

 


No comments:

Post a Comment