Kuch bhi To Nahi Likkha Be-Rang Hatheli mein
Na Zikr hai Fardaa Ka , Na Qissa-e-Maazi Hai
Na Harf-e-Mataa-e-Dil, Na Ramz-o-Ishaara Hai
Na Rabt Lakeeron mein,Na Naqsh hi Poora hai
Ek Mard-e-Qalandar ne Sunkar yeh kaha Mujhse
Be-Rabt Lakeeron mein, Hastii ki Kahani Hai
Tuu Dast Shanaasi ke Raazon se Nahi Waaqif
Barson se Chalii Aayee, Yeh Reet Puraani Hai
Taqdeer ki Gardish Ho, Ya Jashn Bahaaron Ka
Khush Haal Zamana Ho, Ya Daur Balaaon Ka
Irfaan ka Ho Lamha , Ya Waqt ho Zulmat Ka
Qudrat ka likha hai Sab, Sab Khel Lakeeron ka
Ai Mard-e-Jahnadeeda, Ai Saahib-e-Daanai,
Maana ke Raqam hai Sab, Roz-e-Azal Se Hi
Mera yeh Aqeeda hai Azaad Hai Har Insaan
Inkaar Khuda se ho, ya Hukm-e-Khudawandi
Mashiyyat-e-Ezdii par Kaamil hai mera Eiman
Aamal se hoti hai Zulmat mein Ziyan Paida
Taqdeer ki Yeh Gutthi Maana hai Bahut Uuljhi
Khaaki Ki Ravish se hi Har Khair-o-Jazaa Paida
Glossary:
Hatheli Palm
Zikr Description
Fardaa Tomorrow (Future)
Qissa-e-Maazi Stories of Past
Harf-e-Mataa-e-Dil, Details stored in heart
Ramz-o-Ishaara Secrets and Indications
Rabt Relationship
Naqsh Image
Mard-e-Qalandar An ascetic (Faqeer)
Dast Shanaasi Palmistry
Balaaon Calamities
Irfaan Mystical Experience
Zulmat Darkness
Mard-e-Jahnadeeda, An Experienced Man
Saahib-e-Daanai, Man of wisdom
Raqam Written
Roz-e-Azal Eternity
Hukm-e-Khudawandi Command of God
Mashiyyat-e-Ezdii God’s will
Kaaamil Complete
Ziyan Light
Ravish Manner
Khair-o-Jazaa Good and Reward
No comments:
Post a Comment