Shahraahon se Laga, Sabz Vaadi mein Basa
Mauje-e-Dariya ki Sitamgeer Faseelon Se Ghira
Shorish-e-Waqt ke Besood Sawalon se Judaa
Zeest ke Rang, Fasal ki Khushboo mein Racha
Yehi Gaon !!Mere Ajdad ka Maskan tha kabhi
Unke Asbab ki Duniya,Jashn ka Markaz tha kabhi
Isee Dasht-e-Junoon mein mera Bachpan Guzra
Yehi Arz-o-Sama, Shauq ka Mehwar tha Kabhi
Isi Gaon mein Aabad tha Khushiyon ka Makaan
Sabz-a-Zaaron se Saja, Surkh KHishton Se Bana
Baam-o-Dar mein tha Guzarte hue Waqton ka Nishan.
Zard Deewaar se Mehfooz tha Rishton ka Jahan
Ab jo Lauta hoon Isee Bazm-e-Kuhan mein phir se
Badla Badla hai Saman, Uljha Uljha hai Zaman
Na woh Phoolon ki Mehak hai,Na Rida Belon ki
Eeent Pathar hai Bhara, Gard ka Sehra hai Yehan
Na Mulaqat mein Garmi, Na Madaraat hain Baqi
Na Ikhlaas, Na Ulfat, Na woh Jazbat hain Baqi
Aisa bhi Nahi,Rishate-e-Jaan Sab toot Chuke Hain
Milne Se Gila , Na Milne Ki Shikaayat hain Baqi
Ek Hamdam ne Kaha Mujhse yeh Az-Rahe Muhabbat
Aasan to Nahi, Talluq ke Taqazon ko Nibhana
Rishton ki Akhuvvat Ka Alam Jab bhi Uthana
Yaad Rehe, Ek Aag ke Dariya se hai Doob ke Jaana
Glossary:
Shahraahon Highways
Sabz Green
Vaadi Valley
Mauj-e-Dariya Waves of River
Sitamgeer Oppressor
Faseelon Boundaries
Shorish-e-Waqt Challenges of Time
Juda Separated
Zeest Life
Fasl Harvest
Ajdad Forefathers
Maskan Abode
Markaz Centre
Dasht-e-Junoon Desert of Frenzy(In this context, Abode)
Arz-o-Sama Earth and Sky
Mehwar Axis
Sabz-a-Zaron Meadow
Surkh Red
Khishton Bricks
Baam-o-Dar Roof and Gate
Zard Yellow
Bazm-e-Kuhan Old Congregation(In this context, Abode)
Ridaa Sheet
Madaraat Hospitality
Ikhlaas great affection, true friendship
Ulfat Love, Affection
Gila Lamentation
Az-Raahe By Way Of
Akhuvat Brotherhood
Alam Flag
No comments:
Post a Comment