Sunday, October 24, 2021

Daayera

Dayeron mein Qaid hai Zindagi ka yeh Safar

Sarhadon ka Dayera , Mazhabon  ka Dayera 

Fikr ki Zameen par Ghatta Badhta Dayera,

Zaatiyat ka Dayera,  Quamiyat Ka Dayera


Raah-o-Rabt ki Lakeer, Dostii ka Dayera

Aqraba  ka Dayera, Ham Zuban  ka Dayera

Ilm ke Kamaal kaa, Maarifat ka Daayera 

Haisiyat ka Dayera , Fauqiyat ke Dayeraa


Dayera Usool Ka,  Bandishon  ka Daayera 

Dayeraa Khyaal ka, Waswason ka Daayera

Dayera Shuuur ka, Kahin Anaa ka Dayera

Ek Daayera mein band Jane Kitna Dayera


Daayeron ke Darmiyan Yeh Safar Ajeeb Hai

Daayeron ko Todnaa, Asr-e-Nau ki Reet Hai 

Kaun Dayera  Sahii, Kisko Sab Ghalat Kahein

Har Bashar ka Faisla, Sabki Apni Seekh Hai


Daayeron ko Kaat kar,Raah gar Bana bhi Lein

Log  Phir  Banaeyenge  Dayera Naya Koii

Munharif Ka Dayera,  Jisme Daayera Nahii  

Zindagi ka yeh Safar Dayeron mein Hai Kaii 



Glossary:


Daayera       Circle            

Mazhab Religion 

Qaumiyat Nationality

Raah-o-Rabt Residence 

Aqraba Relatives,Kins

Ham Zuban Speaking in the same language

Maarifat Mystic Knowledge

Haisiyat Social Status 

Fauqiyat Priority

Waswason Doubts 

Asr-e-Nau Present Age 

Munharif Opponent , Strayed 

Bashar Individual, Human Being 

No comments:

Post a Comment