Mausame-e-Gul Ki Mehekti Khoobsarat Raat Mein
Maah-o-Anjum the Darakshan Daaman-e-Aflak Mein
Raag Chedaa the Hawa ne Barg-o-Gul ke Saaz Mein
Shaakho-o-Patte Jhoomte The Dilnasheen Andaaz Mein
Noor Afshaan tha Fizaa mein, Jugnoon ka Qaafilaa
Dhoondta thaa Apni Mazil, Raat ke Zulmaat Mein
The Patinge Raqs-e- Paiham, Noor ki Aaghosh Mein
Tairaan-e-Khush-Nawa Madhosh the Baghaat Mein
Ja-ba-Ja Thii Raushani, Raunaq thi Kuu-o-kaakh mein
Shor thaa Sadkon pe Baaqi, Bhiid thii Bazaar Mein
Mehfilein Sajne lagi thiin Baadah-Khaaron ke Sabab
Zaahid-o-Aabid Mehav the Zikr-o-Istighfaar Mein
Laut Aaye The Musaafir, Daftaron Se Daar Mein
Saare Chehre Khil Uthe the, Khaana-e-Afraad Mein
The Parishaan Ahl-e-Irfaan, Kal ki Fikr-o-Amal Mein
The Qalandar Mast Saare, Apne Haal-o-Qaal Mein
The Sukhanvar Munhamiik Ashaar ki Tasniif Mein
Chun Rehe the Rang, Khushboo Raat ki Jaagiir Mein
Kar Rehaa tha ek Musawwar Ahde-e-Nau ka Haal Naqsh
Thii Numyana Saari Uljhan Dhundlii Tasweer Mein
Shab ki Bekal Chandni mein, Main bhi tha Mahv-e-Khiraam
Khush Kalaami Ho Rehii Thii doston ke Sang Mein
Mulko-o-Millat ki Kahani, Shikwa Mausam ka bhi Tha
Thi Sabhi Baatein Zamaan ki, Shiirnii Guftaar Mein
Glossary:
Mausam-e-Gul Weather of Flower
Maah-o-Anjum Moon and Stars
Darkhshan Glittering
Daaman-e-Aflaak Sky
Barg-o-Gul Leaf and Flower
Shaakh-o-Patte Branch and Leaves
Noor Afshaan Illuminating
Jugnoon Firefly
Patinge Moths
Raqs-e- Paiham Constant Dance
Tairaan-e-Khushnawa Singing Birds
Raunaq Illuminating
Kuu-o-Kaakh Street and Edifice
Baadah-Khaaron Drinkers
Zaahid-o-Aabid Hermits and Devotees
Zikr-o-Istighfaar Chanting God’s Prayer and Seeking forgiveness
Daar Home
Khaana-e-Afraad House (of the people)
Ahl-e-Irfaan Men of wisdom
Haal-o-Qaal Religious Ecstasy
Sukhanvar Poets
Musawwar Painters
Ahde-e-Nau New World
Khush-Kalami Pleasant Conversation
Shikwa Complaint
Shiirni Sweet
No comments:
Post a Comment