Shore-e-Maatam tha kahin, Saath kisi ka Choota
Kaisii Dildoz Balaa Thii, Kitna Nasheman Toota
Shayad, Iblees Hai Aaya Sar-e-Aflaak-e-Bariin ?
Maine Dekahaa tha Kahin Ek Sitaara Toota
Shams Nikla hai Falak par usi Pindaar Ke Saath
Teergii Chhatne Lagi, Raat ka Gheraa Toota
Baat kehne ka Saleeqa to Bahut tha Mujh mein
Jaane kya Baat Hui Har Bazm se Rishta Toota
Teri Mehfil mein bhi Sach Bol Reha hoon Tumse
Dekh Bikhraa Hai Yehin Mera Saaghar Toota
Dekh Haseen Khvaab mere, Dekh mera Azm-e-Safar
Raah ki Thokar se Kahan Sang-e-Iraada Tootaa ?
Ai Khuda,Tere Mehboob Nabi ka Thaa Ishaara Kaafi
Hukm ki Tazeem Mein Mahtab Humak Kar Toota
Phir Chale Log Ibaadat ke Liye Sue Darbaar-e-Haram
Aankh Chalki thi kisi ki, kahin Zabt ka Bandhan Toota.
Aag Jisne bhi lagaii thiii, Tausif Bhalaa ho Usakaa
Khul Gayee Aankh Meri, Ikhlaas ka Jadoo Toota
Glossary:
Shor-e-Maatam Noise of Grief /Lament
Dildoz Heart Piercing
Balaa Calamity
Nasheman Residence
Iblees Satan/Devi
Sar-e-Aflaak-Bariin On the Highest Sky
Shams Sun
Pindaar Pride/Arrogance
Teergii Darkness
Bazm Party
Saaghar Goblet, Wine Cup
Azm-e-Safar Determination for Travel
Mahtab Moon
Humak Desire ,Longing
Sang-e-Iraada Rock of Intention
Sue Direction
Darbaar-e-Haram sacred territory of Mecca
Ikhlaas Friendship
No comments:
Post a Comment