Sunday, October 31, 2021

Ghazal

Shor Dil ka Tham Gaya , Din ke Nazm-o-Nasq mein

Shauq Kho Gaya Kahiin,  Roz-o-Shab ki Rasm mein


Aiine ke Saamne , Main khud ko  Dhoondtaa  Rahaa 

Khud ko kho diyaa Kahiin  Zindagi ki Bazm mein


Munsifon ki Anjuman ne Aakhirash Likhaa Wahii

Yeh Zameen Usii Kii Hai , Takht jiski Dast Mein


Qaatilon ka Jashn-e-Khoon Kab kisi se thaa Chhipa

Marne Wala Qaid thaa , Fard-e-Jurm-e-Qatl Mein


Yehi Nizame-Nau ki Reet, Yehi hai Rai-Aamma

Qatl-o-khoon ka kya Gilaa ,Qaum gar hai Saath mein 


Ahl-e-Ilm-o-Fun ki Bheed, Quam ke Imaam-o-Meer

Dast Basta, Sir-Niguun , Shaah ke Huzoor  Mein


Waqt Gar Nahi Sahal, Tausif Kya Gilaa Karein

Chiraagh  Ek Jaalaiye , Teergii ke Beech  Mein  



Glossary:


Nazm-o-Nasq       Administration, Governance             

Roz-o-Shab Day and Night

Bazm Gathering, Party

Munsifon Judges

Anjuman Panel

Aakhirash At Last

Takht Throne

Dast Hand 

Fard-e-Jurm-e-Qatl         Charged for the murder

Nizm-e-Nau New model of governance (Democracy)

Ahl-e-Ilmo-Fun Educated Elites

Imaam-o-Meer Leasders

Dast-Basta With Folded Hands 

Sir-Nigoon Head Hanging Down

Teergii Darkness

No comments:

Post a Comment