Aqal ki Had se Guzarkar Raah-e-Manzil Dhoondiye
Raaz-e_Hasti ko Samajhiye, Ilm-o-Irfaan Dhoondiye
Zindagi ki Tez Lehron mein hai Tughiyani Bahut
Pur-Khatar Maujon Se Ladiye Mat Safeena Dhoondiye
Thaa Nahi Aasan Kabhi Bhii Aamiron Se Ikhtilaaf
Hausla Seene mein Rekhiye,Mat Sahaara Dhoondiye
Khud ko, Khud hi kho diyaa Bazaar-e-Nau ki Bheed mein
Jhoot ki Partein Hatakar, Khud mein Khud ko Dhoondiye
Chaandni Raaton ki Madham Raushni ki Chaaon mein
Khush-Taba Logon se Miliye, Shaadmani Dhoondiye
Noore-e-Eimaan se Nahi aata Agar Dil ko Qaraaar
Dasht-o-Sahra mein bhatakiye, Haq ke Maani Dhoondiye
Sher Kahne ka Saleeqa ya Ghazal mein Fikr-o-Fun
Lafz ke Andar utar kar Soz-o-Naghma Dhoondiye
Glossary:
Raah-e-Manzil Path to Destination
Ilm-o-Irfan Knowledge and discernment
Tughiyani Deluge
Pur-Khatar Full of Danger
Safeena Boat
Aamiron Dictator
Khush-Taba Cherful
Noore-e-Eimaan Light of Faith
Dasht-o-Sahra Forest and Desert
Soz-o-Naghma Sorrow and Music
No comments:
Post a Comment