Teergii Ke Dasht Mein Chiraagh koi Jal Uthe
Chashm-e-Nam ki Jheel mein Raushani Chamak Uthe
Gumaan ke Regzaar mein Yaqeen ka Phool Khil Uthe
Ranj-o-Gham ke Darmiyaan, Udaas Dil Machal Uthe
Manzielein Qareeb Hain, Ek Sadaa Sunaii De
Khaaardar Raah Mein , Gul-kadaa Dekhaii De
Garmiyon ki Dhup Mein Saibaan Kahin Dikhe
Tund-o-Tez Mauj Mein NaakhuDa Dekhaai De
Aarzoo ke Aaine mein Aks-e-Nau Dekhai Uthe
Maut Kaa ho Saamna, Zindagii Dekhaii De
Roz-o-Shab ke Shor Mein Gar Khuda Na Yaad Ho
Jab Khuda ki ho Talaash, Ek Azaan Sunaai De
Yeh Khayal-o-Vaaqiat, Yeh Tamaam Kaifiyaat
Isii ka Naam hai Umiid, Yehi hai Jauhar-e-Hayaat
Isii ke Dam se hai Rawaan Karobaar-e-Kainaat
Subah ka Intizaar Kar, Raat ki hai Kya Besaat
Glossary:
Teergii Darkness
Dasht Forest
Chashm-e-Nam Wet Eyes
Regzaar Desert
Sadaa Voice
Khaardar Full of Thorns
Saaiban Shelter/Canopy
Naakhuda Boatman/Sailor
Aks-e-Nau New Reflection
Roz-o-Shab Day and Night
Jauhar-e—Hayat Seecret quality
No comments:
Post a Comment