Shor Dil ka Tham Gaya , Din ke Nazm-o-Nasq mein
Shauq Kho Gaya Kahiin, Roz-o-Shab ki Rasm mein
Aiine ke Saamne , Main khud ko Dhoondtaa Rahaa
Khud ko kho diyaa Kahiin Zindagi ki Bazm mein
Munsifon ki Anjuman ne Aakhirash Likhaa Wahii
Yeh Zameen Usii Kii Hai , Takht jiski Dast Mein
Qaatilon ka Jashn-e-Khoon Kab kisi se thaa Chhipa
Marne Wala Qaid thaa , Fard-e-Jurm-e-Qatl Mein
Yehi Nizame-Nau ki Reet, Yehi hai Rai-Aamma
Qatl-o-khoon ka kya Gilaa ,Qaum gar hai Saath mein
Ahl-e-Ilm-o-Fun ki Bheed, Quam ke Imaam-o-Meer
Dast Basta, Sir-Niguun , Shaah ke Huzoor Mein
Waqt Gar Nahi Sahal, Tausif Kya Gilaa Karein
Chiraagh Ek Jaalaiye , Teergii ke Beech Mein
Glossary:
Nazm-o-Nasq Administration, Governance
Roz-o-Shab Day and Night
Bazm Gathering, Party
Munsifon Judges
Anjuman Panel
Aakhirash At Last
Takht Throne
Dast Hand
Fard-e-Jurm-e-Qatl Charged for the murder
Nizm-e-Nau New model of governance (Democracy)
Ahl-e-Ilmo-Fun Educated Elites
Imaam-o-Meer Leasders
Dast-Basta With Folded Hands
Sir-Nigoon Head Hanging Down
Teergii Darkness