Maah-o-Anjum ki Justaju Mein Sukuun Dil Ka Ujad Reha Hai
Saa’ton Ko Main Qaid Kar Luun,Yeh Lamha Lamha Guzar Reha Hai
Zindagi Ke Naye Taqaaze, Yeh Shauq-o-Armaan ke Istiaare
Ahd-e-Nau ka Mizaaj Yaaro Qabaayein Apni Badal Reha hai
Khushi ke Afsoon Talash Kartaa, Gali Gali Jo Bhatak Reha Hai
Batao Usko, Khushi Ka Gauhar Darun-e-Dil me Damak Reha Hai
Purane Rishton ka Baagh Suuna, Na Koi Nakhat Na Koii Rangat
Dostii ka Shajar Jhukaa Hai, Barg-o-Gul Bhi Bikhar Reha Hai
Rasm-e-Kuhnaa Ki Bediyon ko Tegh-e-Irfaan Se Kaat Daalein
Ilm-o-Danish ka leke Parcham Badho Zamana Badal Reha Hai
Tumhare Aamad ki Ek Khabar Se Dil Ki Vaadi Mahak Uthi Hai
Surkh Phulon Mein Koii Baitha Vafaa Ke Naghme Suna Reha Hai
Suna Reha tha Woh Apne Qisse, Shagufta Lahje mein Dheere-Dheere
Zikr Aaya Hai Jabse Mera, Woh Jane Kyon Muskura Reha Hai
Karun Khatam Ab Ghazal Main Apni, Raat Shayad Guzar Chuki Hai
Shab ke Aanachal Se Kaun Aakhir Chaand Taare Chura Reha Hai
Glossary :
Maah-o-Anjum Moon
and Stars
Sukuun Peace
Saa’ton Time/Moments
Istiaare Metaphors
Qabaayein Cloth
Afsoon Magic
Gauhar Pearl
Darun-e-Dil Inside heart
Nakhat Fragrance
Shajar Tree
Burg-o-Gul Leaves and Flowers
Rasm-e-Kuhna Old Traditions
Teghe—Irfan Sword of Wisdom
Ilm-o-Danish Knowledge and Sagacity
Parcham Flag
Aamad Coming
Surkh Red
Shagufta Interesting /Nicely Said
No comments:
Post a Comment