Zeest ka Sail-e-Rawaan, Pahuchega Jab Us Mod Par
Jab Khvaab ke Sheeshe se Saara Aks Gum Ho Jayega
Lab ki Sab Shola-Fashani, Dil kaa Sab Josh-o-Junoon
Waqt Ke Dhundle Safhon mein Chupke se Kho Jayega
Sust- Rau Qadmon mein hogaa Bojh Guzre Saal Kaa
Bazuoon Mein Zor Bhi Kam Kam Bacha Reh Jayega
Jism ke Ajzaa mein Kab Baaqi Rehega Eitadaal
Dhadkanon ka Ghatta Badhta Silsila Reh Jayega
Haan Faraaghat to Rehegi Roz-o-Shab mein Waqt Ki
Milne Waalon ki Kamii Se Dil Bujhaa Reh Jaayega
Hogi Maana Sab Suhulat, Honge Khidmatgaar Bhii
Guftaguu Karne ko Shayad Chaaragar Reh Jaayega
Yaad ki Dahleez par Guzre Dinon Ka Kaarvan
Kuch Dinon tak to Rahega, Phir Judaa Ho Jayega
Jab Karoge Zindagi ke Beete Lamhon Ka Hisaab
Waqt ki Barabadiyon ka Phir Yaqeen Ho Jaayega
Zindagi ke Is Safar kii Kya Shikayat, Kya Gilaa
Raah mein Kaante na ho, to kya maza Reh Jayega
Yeh Anaa ke Taaj-o-Zevar, Yeh Takabbur ka Mahal
Jab Safar yeh Khatm hoga, Kya Bacha Reh Jayegi
Glossary :
Zeest Life
Saile-e-Ravaan Flowing Stream
Lab ` Lips
Shola-Fashaani Fiery Speeches
Sust -Rau Slow moving
Ajzaa Elements
Eitadaal Balance
Faraghat Availability
Roz-o-Shab Day and Night
Khidmatgaar Support Staff
Charagar Doctor
Gilaa Complaint
Anaa Ego
Takabbur Haughtiness
No comments:
Post a Comment