Naved-e-Aamad-e-Yaaan Se Mausam Khuubsurat Hai
Gulon ke Raqs-e-Paiham Ka Nazaara Khuubsurat Hai
Hayaa, ki Ot se Shokhi Nigahon mein Utar Aayee
Kaha Dheere se Jab Maine, Muhabbat Khuubsurat Hai
Dil-e-Naadan pe Kya Guzri,Jo Usne Haal-e-Jaan Poocha
Adab se keh diya, Pyare, Yeh Duniya Khuubsurat Hai
Hui Muddat Likhe Jisko, Usii Khat Ka Jawab Aaya
Likha Usne Wahi Usmein, Kahani Khubsuurat Hai
Ajab hai kaifiyat Dil ki Na Jaaane Kaisi Uljan Hai
Na Dilkash Ab Rehi Furqat, Na Qurbat Khubsurat Hai
Kisi Be-noor Zindaan mein Koi Be-Baak Sa Shaaer
Humak ke gaa Reha tha kal Andhera Khuubsurat Hai
Kisi Benaam Manzil ka Safar Pur-KHaar Raste Se
Kabhi Dushwar Lagta Hai, Kabhi yeh Khubsurat hai
Utho Tausif Dekho Ab, Subah hone ko Aaaye Hai
Gulon ki Makhmali Chadar pe Shabnam Khuubsurat Hai
No comments:
Post a Comment