Jane kyon yeh lagta hai
Qaid hoon Hisaaron mein
Tarz aur Tamaddun ke
Khardar Taaron mein
Mazhabon ka Pehra hai
Maslakon ki Deewarein
Bediyan hain Rasmon ki
Rawayaton ki Zanjeerein
Haath bhi Girafta Hai
Tehzeeb ki Salasal mein
Kaat dii Zuban Sach ki
Maslahat ke Maqtal mein
Sang-o-Khisht rakhe hain
Aqraba ke Haathon mein
Phool Kam hi Khilte hain
Dil ke Reg-Zaaron mein
Daayera Ummidon ka
Roz Badhta Jata hai
Dayera Yaqeenon Ka
Roz Ghatta Jaata Hai
Fauqiyat ka Jhagda hai
Mulk ke Khudaon mein
Khoon Ki Lakeerein hain
Sarhadon ke seene mein
Aarzi Khudaon Ne
Zaabte Banaye hain
Zaabte Ke Tesha se
Phir Lahoo Bahaye hain
Is Samaj ka Dhancha
Hamne hi Banaya hai
Ahd-e-Nau ke Rangon se
Hamne hi Sajaya hai
Samaj ka Fusoon khana
Ek Andhere Ghar Sa hai
Jhoot aur Taussab Ka
Ek Dhuan sa uthta hai
Glossary:
Hisaaron Fence, Bulwark, castle
Tarz aur Tamaddun Manner and Civilisation
Khardar Kaanton Barbed Wire
Mazhabon Religions
Maslakon Sects
Bediyan Shackles
Rawayaton Traditions
Girafta Arrested, Tied
Salasal Chains, Shackle
Maslehat Check the appropriateness of the situation
Maqtal Place of Execution
Sang-o-Khisht Stone and Bricks
Aqraba Relatives
Reg-Zaaron Desert
Daayera Circle
Fauqiyat Superiority
Sarhadon Borders
Aarzi Temporary
Zaabte Regulations
Tesha Axe
Ahd-e-Nau New Age
Fusoon khana Magic House
Taussab Bias
No comments:
Post a Comment