Chand kab hua Rukhsat
Kab Seher ne Dastak dee
Kab Falak ke Parde se
Raushni Nikal Aayee
Neemwa Dareeche se
Khushbuon ka ek Jhonka
Mere Band Kamre mein
Jane Kab Utar Aaaya
Kal, ki Haar ki Zad se
Aankh meri Bojhal thi
Jism Reza Reza Tha
Neend kaafi Gehri thi
Din ke Shor ne Aa kar
Khwab ke Qafas Tode
Neend ki Girah kholi
Yaad ke Rasan kaate
Door se Sadaa Aayee
Aaj ek Naya Din Hai
Dekh, ek Naya Sooraj
Aasman mein Raushan hai
Khel Phir Shru Hoga
Koi Phir Se Jeete Ga
Koi Khwab Toote Ga
Koi Phir se Hare Ga
Zindagi ki Baazi mein
Jeetne ke Tamghe hain
Faatihon ke Qisse hain
Jeet ke Qaseede hain
Zindagi Tasalsul Hai
Anginat Tamashon ka
Jeetne ki Saa’t ka
Haarne ke Lamhon ka
Jeet bhi nahi Azli
Haar kab, Sada se hai
Kal ka, Haarne wala
Jeet Bhi to Sakta hai
Zeest ki Bisaton par
Chaal Sari Mushkil hai
Ek Yaqeen-e-Kaamil se
Khelna Zaroori Hai
Glossary:
Chand Moon
Rukhsaat Leave, Left (In the context of the poem)
Sehar Morning
Falak Sky
Neemwa Half Open
Dareeche Window
Zad Blow, Damage
Jism Body
Reza Reza Broken, In Pieces
Qafas Cage
Rasan Rope
Sadaa Voice
Baazi Game
Tamghe Medal
Fatihon Conqueror
Qaseede Panegyric
Tasalsul Continuity
Anginat Uncountable
Saa’t Moment
Azli Eternal, Ever Lasting
Sada Always
Zeest Life
Bisaton Chess Board
Yaqeen-e-Kaamil Complete Faith
No comments:
Post a Comment