Wednesday, August 28, 2013

Yeh Kaunsa Farishta Hai


Falak-shigaaf naaron se shaHr goonj uttha hai,
Shor ke ta-aqub mein karwan gurezan hai
Shola-bar hain aankhen, kaarwan ke meeron ki,
Tez, tund aawazein,  jaise jashn jaari hai
 
Karwan se kuch peeche, aalimon  ka ek lashkar,
Cheekh kar ye kehta hai, ‘Ek farishta aaya hai’
Uske paas quwwat hai, uske paas daulat hai,
Taqdeer ko badalne ki tadbeer usko aati hai

Apni aql-o-hikmat se  mulk ko badal dega,
Bhook aur gharibi ko paaon se kuchal dega
Cheen aur America aake sar jhukayenge,
Ma-ashiyat to aasan hai, maashraH badal dega

Ek ajab si dahshat hai, door choti basti mein,
Khamoshi ki aawazein khauf se larazti hain
Raat ki siyah chadar aansuon se bheengi hai,
Kahin kahin andhere mein raushani chamakti hai

Jashn-o-sog ka manzar ek sawal karta hai,
‘Khauf’ aur ‘Farishte’ mein shayad koi rishta hai
Ek taraf chiraghan hai, hai doosri taraf matam,
Yeh kaunsa farishta hai, woh kaunsi qyamat hai

Hairan in sawalon se, main qaafle mein ja pahuncha,
Dekh ke saham uttha, Tasweer unke haaton mein
Yeh shanasa chehra to zulm ka paymaber hai,
Uske qaHr ke qisse qaid hain samaa-aT mein

Raaz khul gaya mujh per us andheri basti ka,
Mufakkiron ki khamoshi, aalimon ki sazish ka                
Kahani qalam walon ki, sarmayadaron ke qaseeda ka,
Jawanan-e-watan ke josh ka, jazbon ka, naaron ka

 

No comments:

Post a Comment