Gham ke Gahre Kaajal ko ab Poch do Apni Aankhon se,
Khwabon ke Zarrreen Tasht Sajakar, Eid ke Tohfe laya Hoon
Arman ke Zamurrad hain is mein, Hasrat ke Guhar bhi rekhe hain,
Ummid ke Yqooti Heere , kuch Gehne Azm-e-Safar ke bhi
Yeh Maddham Rang Udasi ka Afsha hai Tumhare Chehre per,
Indoho-o-Alam ki Parchayee Raqsan hai Peshani per
Khushiyon ke Damakte Taaron ko main Mutthi mein Bhar laya hoon,
Masoom Hansi in Honton ki, Wapas Dhoond ke laya Hoon
Yeh zulf-e-Parishan Shanon per kuch Uljhi si, kuch Bikhri si,
Bejaan latein hain Aariz per, Andeshon se Sahmi Sahmi si
Baadal ki Ghtaon se maine tere Gesu ki Siyahi maangi hai,
Mehtab ki Rakhshan Kirnon se, Tab-o-Tadap bhi laaya hoon
Leghzish yeh Tumhare Haathon mein, kisi Fikr ki Saazish hai Shayad,
Hain Wahm-o-Guman ke Sangon se Majrooh tumhare Paeenda Qadam
Hauslon ke Aahni Teeshon ko main Saath mein lekar aaya hoon,
In Sangon ko Mismaar Karo, in Fikron ko Paemaal karo
Is Eid pe aao Azm karein, ek aise Jaahan ka nazm karein,
JahaN Tarab ki Baala-dasti ho, Ummid ki har soo khushboo ho
Yaqeen ka Parcham lahraye, Azmon ke Sharare Ithlayein,
Mushkil hai Magar imkaan to hai, is Jahan pe mera Eimaan to hai
No comments:
Post a Comment