Monday, January 11, 2021

Jiyale Log

 

Mukhalfat ka Alam Uthaye

Kisan Sadkon pe Kheem-a-Zan hai

Bula rehi  hain Zameenen Wapas,

Raah,  Ghar Ki bhi Mutazar hai

 

Sard Mausam, Siyah Raatein

Josh Lekin Thama Nahi hai

Sitam ki Shab se Ulajhta Dahqan,

Jaur-o-Dukh se Dara Nahi hai

 

Nikal pada hai Badalne, Aaiin

Haakimon Par Yaqeen Nahin hai

Takhte-Shahi ko bhi Khabar hai

Kisan Yunhi, KHafa Nahi hai

 

Hukum Hai, Baazar-e-Nau Sajao

Gaahakon ki Kami Nahi hai

Qeematon pe Na Jee Jalao

Nafa ka Dariya, Ruka Nahi hai

 

Nizam -e- Nau ko Salam kar lo

Baghawaton mein Fatah Nahi hai

Badshahon se Bughz-o-Keena

O, Nadan Tujh mein Aql Nahi hai?

 

Khauf-o-Dhashat ke is Shahr mein

Sukoon-o-Sul’h ki Sada Nahi hai

Jiyale Logon, Salam Tumko

Azam ka Shola  Bujha nahi hai

 

Taweel hai yeh Jadal Zameen ki

Pasban ki Kami Nahi hai

Jiyale Logon, Salam Tumko

Misaal Iski Bahut Nahi Hai

 

 

Glossary (In the context of above poem):

Alam                             Flag

Kheem-a-Zan               In Camp

Mutazar                        Awaiting

Sitam ki Shab               Night of Oppression

Dahqan.                        Farmer

Jaur                              Violence /Oppression

Aaiin                           Constitution/Law

Bughz-o-Keena           Malice

Sukoon-o-Sul’h.          Tranquilty and Truce

Azam                           Strong Intention

Taweel                         Long

Jadal                            War

Pasban                         Guard /Keeper

 


Sunday, January 3, 2021

Ek Khwahish

Nayee khwahish ne Dastak di hai Dil mein

Kitab-e- Zeest likho, Khoon-e-Dil  se

Sawal-e-Shauq  to Mushkil hai Yaarab 

Qalam mein Zor paida ho, Kahan se 

 

Likhoon main kya, Kitab-e-Zindagi mein

Chunoon Kya kya, Hayat-e-Raftagan se

Main, Bachpan ki Gali se Dhoond laoon

Saja doon Lafz se Maasoom Qisse

 

Virasat ki bhi Baatein, Raqm hongi

Yeh, KHuu Tahzeeb ki aayee kahan se?

Urooj-e-Waqt mein logon ki Mehfil,

Zawal aaya to sab Ghayab, Sire se

 

Woh Ghar jismein Guzara hai Ladakpan

Use main Bhool jaaoon, Kis Tarah se

Woh Ustadon ki Shafqat,Woh Maktab ka Tarana

Kutub mein darj hoga Muhabbat ki Qalam se

 

Aligarh ka Zamana, Mujhe hai Yaad ab tak

Mere Khwabon ki Duniya bani hai is ke Dam se

Kitab-e-Zindagi ka, Yeh  Zarriin Baab hoga,

Ibaarat Naqsh hogi, Huroof-e-Qirmizi se

 

Woh Rishton mein Kashakash, ya Ulfat Aqraba se

Haqeeqat hi likhoon main, Dua hai meri  Rab se

Daroon-e-Dil ki Uljhan ya koi Raaz-e-Hamdam

Likhoon main har Waraq ko, Khuloos-e-Bebaha se

 

Khuda se yeh Dua hai, Mujhe  Zor-e-Qalam de

Mujhe Zauq-e-Sukhan de,Mujhe Lafzon ka Fun de

 

 

Glossary :

Zor-e-Qalam : Power to Pen

Kitab-e-Zeest : Book of Life ( Auto biography in this context)

Hayat-e-Raftagan :  Life goneby

Virasat : Heritage

Raqm : Document /Write

KHuu: Behaviour

Urooj-e-Waqt : The time when u r rising in life

Zawal : Fall

Shafqat : Affection

Maktab: School

Kutub: Book

Ibaarat : Passage of Book

Naqsh : Print /Write

Zrriin Baab -  Golden Chapter

Huroof-e-Qirmizi – Red Letter

Kashakash – Struggle/Contention

Ulfat – Love/Affection

Aqraba – Relatives

Daroon-e-Dil- Inner Heart

Khuloos-e-Bebaha – Lot of sincerity

Zauq-e-Sukhan-  capability of writing/expressing