Sunday, October 28, 2012

Woh nazm adhoori hai ab tak

Woh nazm  adhoori hai ab tak
Woh nazm  adhoori hai ab tak


Mulaqat ki pehli sham thi shayad,
Jab tum ne kaha  tha , ek nazm likho
Is maut si khamoshi se pare,
Door kahin traeeki se,

Khush-rang  sehr ke baare mein
Taaer ki sheereen sargoshi liye,
Baang-e-Jaras mein doobi hui,
Sarshaar fiza ke baare mein

Us nazm ki dilkash basti mein
Hasti ka sharara raqsan ho
Mehfil-e- yaraan jamti ho
Bazm-e-chiraghan hota ho

Har harf hawa ka jhonka ho,
Har lafz mein ho ehsaas-e-zyan,
Har sher ummedon ka chashma,
Har band se ho afkaar ayaan

Woh nazm  adhoori hai ab tak

Takmeel-e-nazm ki hasrat mein,
Khwabon ke nagar mein jata hoon
Chun Chun ke harf  ke phoolon ko,
Lafzzon ka mahal banata hoon

Phir din ki dastak hoti hai
Khurshid ke biphre sholon mein
Khwabon ka nagar jal jaata hai
Lafzon ka mahal gir jaata hai

Woh nazm  adhoori hai ab tak
Woh nazm  adhoori hai ab tak

4 comments: