Ai Sitam ke Saudayee
Jabiron Ke Shaidayee
Nafraton mein Parvarda
Zulm ke Tamashayee
Jane kis Adawat mein
Kiski Rasm-e-Ulfat mein
Kis Khuda Ki Marzi se
Kis Nabi ki Chahat mein
Bastiyan Jalate ho
Roshni Bujhate ho
Dil mein qaid Khwabon ko
Khak mein Milate ho
Be-Zarar Ghareebon ka
Garm KHuun Bahate ho
Aahni Slebon par
Daar-o-Sar Sajate ho
Babasi ke Manzar ka
Jashn bhi Manate ho
Qatilon ki Raahon mein
Phool Bhi Bichate ho
“Am’n mera Mazhab hai”
Geet Roz Gaate ho
Dilkharash Cheekhon ko
Bhool Kaise Jaate ho?
Sochta hoon main Aksar
Gar Milo Kabhi Mujhse
Jhoot ki Girah Kholoon
Harf-e-Haq kahoon Tumse
Nafraton ki yeh Bijli
Aashiyan Jalayegi
Dost aur Dushman mein
Farq kar na Payegi