Saturday, July 6, 2013

Fasl-e- Baaran

Yeh Mausam Janfeza hai, Dil Nasheen hai, Soz-e-Dil bhi hai

Aamad-e-Fasl-e-Baraan se Sarshar hai Raat,
Hai Fizaon mein Sharab-e-Kuhan jaisa Khumar
Qafala-e-Abr bhi aaya aai,  Mast-e-Kheram
Bijliyan Raqsan hain Maanind-e-Sharar
   
Yeh Mausam Janfeza hai, Dil Nasheen hai, Soz-e-Dil bhi hai
                         
Daman-e-Arsh se aati hui Kirnon pe Sawar,
Boondein Barish ki yun Utarti hain
Jaise Motiyon ka Safed Aawezah,
Bikhar gaya hai Sunahre Aanchal mein

Yeh Mausam Janfeza hai, Dil Nasheen hai, Soz-e-Dil bhi hai
                         
Pehli Baarish ke Phuaaron ka Ajab hai yeh Sitam,
Mehhmoor Hawaon ke Behke jaate hain Qadam
Chooke Chup Chap Guzar Jati hai Rukh-e-Janaan ko,
Bheege Chehre pe hai Qaus-e- Qazah ka Aalam
                             
Yeh Mausam Janfeza hai, Dil Nasheen hai, Soz-e-Dil bhi hai
                                                    
Door is Gulistan se ek Kisaan ke Ghar mein,
Barkha aur Birha ke Geet gaye jate hain
Ummeed ki Nayee Konpal, Phir Se Sar Uthati Hai,
Sondhi Geeli Mitti mein Khwab Boe Jate Hain

Yeh Mausam Janfeza hai, Dil Nasheen hai, Soz-e-Dil bhi hai

Jashn-e-Tarab ke Naghmon se pare, Wasi Falak ke Saaye tale,
Ek Quam Basera karti hai, jo Zinda bhi hai, Murda bhi
Badal ki har Aahat par jo Khoon ke Aansoo Roti hai,
Is Aansoon ki kya Qeeemat hai, Afraat bhi hai aur Arzaan bhi
                                 
Yeh Mausam Janfeza hai, Dil Nasheen hai, Soz-e-Dil bhi hai
______________________________________________

Glossary
Fasl-e- Baaran : Rainy Season
Janfeza : Pleasing                  
Dil Nasheen : Enthralling, Something that captivates heart.
Soz-e-Dil : Pain of Heart
Aamad-e-Fasl-e-Baaran : Arrival of rainy season
Sarshar  : Happy
Sharab –e- Kuhan : Old Wine
Khumar : exhilarate or stupefy as if with alcohol, impact of inebriation or consuming alcohol
Qafala-e-Abr : Caravan of clouds
Mast-e-Kheram : Carefree stroll
Raqsan : Dancing
Manind-e-Sharar : Like a Lightening
Daman-e-Arsh: sky
Aawezah : Type of jewellery
Mehhmoor : Inebriated, Drunk
Qaus-e- Qazah : Rainbow
Birha : Separation
Jashn-e-Tarab: Celeberation of Happiness
Wasi Falak : Vast sky
Afraat : Excess
Arzaan : Cheap