Bekaraan Shab ke Saile- Rawan mein,
Khamoshi ki Allahr Maujein,
Sahil-e-Waqt ki Deewaron se,
Mahv-e-Sukhan hain, Naala-ba-Lab hain
Tariki ke Siyah Bhanwar mein,
Tooti hui ek Neend ki Kashti
Jal-Thal Chand ki Hamrahi mein,
Dhoond Rehi hai Khwabon ki Basti
Mujh ko Yaqin hai Chand Shab Pehle,
Subh-e-Fardan ke khushboo se Mehki
Khwab-e-Nau ki Bekal Basti,
Sahil se kuch Door, Yehin thi
Hain Shayad Khwab Gurezan Mujhse,
Gosha-e-Dil se Aayee Fughan
Baadal ke Sarkash Tukdon ki Tarah,
Is Pal mein Ayan, Us Pal mein Nehan
Main bhi Haarne wala Kab hoon,
Is Tilism ko Mujhko Todna hoga
Khwab, Matay-e- Jaan hai Mere,
Us Manzil ke Nishan ko Dhoondna hoga
Chalo Phir Baad-e-Ban Maine Khol Deta Hoon Safine Ka,
Ajnabi Samt mein, Tund Hawaon ke Khilaf
Phir Shru hoga Safar, Ek Nayee Umang ke Saath,
Be-Naam Jazeeron ki Taraf, Tadapti Lehron ke Khilaaf